Posts

Showing posts from July, 2017

KUCH AISE HI

Aaj phir chale hai hum apni gathri lekar Sambhala hai khud ko phir se samet kar sabhi tukdo ko Darr hai bahut ki kho naa du phir se khud ko is bheed me Lekin jab paar hote navik ki khushi dekhi to dard par malham laga Nazar ghumayi to paya sab apne sapno ko lekar bhaag rahe the Main bhi apna chota sa sapna lekar chali thi usi bheed me Ye sapno ka khel hai mere bhai Jiska sapna jitna sachha hai uski udaan utni uchi Jab andhere kamre me baith apne jivan ko dekha To paya ki unhi sapno ne kamre ko ujagar kar diya Jin sawalo ke piche bhaag rahi thi unke uttar apne sapno me paye Sab ne kaha yaha sab kismat ka khel hai Jo piche rah gaye unki mehnat me kami naa thi Laut sakti ho tum bhi abhi kuch bigda nahi hai Par nasha hai ek Jo piche hatne nahi deta Ro lu kitna bhi par pair thamte nahi dil kehta h ek aur chalang laga ke dekho shayad is baar paar ho jao