Posts

Showing posts from 2020

Kaun ho tum?

Tum kaun ho? Tum tha nahi..Tum thi bhi nahi Tum apni pichli haar bhi nahi.. Tum aane wali jeet bhi nahi Tum marz nahi..tum dawa bhi nahi Jab agli dafa koi puche tum kon ho? To muskura ke keh dena.... Main ek ehsaas hu..ek khayal hu Main ek soch..ek misaal hu Main ek hausla hu..ek jazbaat hu Aag bhi main..paani bhi main hu Raat ka andhera bhi hu.. Aur subah ki pehli dhoop bhi hu Bas ek benaam si pehchaan hu main.

Do Musafir

Ek musafir to tum bhi ho Ek musafir to hum bhi hain Phir aisa kyu hai? Tum raaste ko dekhte..hum manzil ko dhoondhte Tum lamho me jeete..hum bas din guzaarate Tum aam ko khaas maante..hum dono ka antar naa jaante Phir aisa kyu hai? Tum yaado me khote..hum khwaisho me uthte Tum neend ko aaram..hum kinara maante Tum dard me hasi khojte..hum hasi me dard khoj late Mana tum sahi ho..Par galat to hum bhi nahi hai Kyu naa ek koshish kare.. Kuch ghaav hum naa de..kuch daag tum mita lo Kuch narazagi tum chipa lo..kuch viraam hum laga le Do musafir hai to kya...kyu naa raasta ek bana le.