Kaun ho tum?
Tum kaun ho?
Tum tha nahi..Tum thi bhi nahi
Tum apni pichli haar bhi nahi..
Tum aane wali jeet bhi nahi
Tum marz nahi..tum dawa bhi nahi
Jab agli dafa koi puche tum kon ho?
To muskura ke keh dena....
Main ek ehsaas hu..ek khayal hu
Main ek soch..ek misaal hu
Main ek hausla hu..ek jazbaat hu
Aag bhi main..paani bhi main hu
Raat ka andhera bhi hu..
Aur subah ki pehli dhoop bhi hu
Bas ek benaam si pehchaan hu main.
Comments
Post a Comment